nazar tujh pai parii, roshnii roshnii, merai jazboon ko phir sai karaar agya hont kii jumbashain, ankh kii lazatain, daikhtai daikhtai hii khumaar agya |
har kalii muskuratii hoyii khil gayii, shadyanoon kii awaaz phir sai uthii dil ka gulshan hii poura meheknain lagaa, jab sai ankhoon main jan-e-bahaar agayaa |
bhar gayai rang merai khialon main bhii, terii khairaat dil kai ujaalon main bhii har taraf terii khusbuu ka charcha huuaa, sab nazaaroon main tujh sai nikhaar agyaa |
shoq terii mohabat main bhartaa gya, terii janib vo parvaaz kartaa gyaa us ki meraaj pohnchii hai meraaj pai, terai kadmoon main jo aik baar agyaa |
by: Sajid Fayyaz Sheikh - Paris |
Comments